Lyrics
Kehti thin Zahra (s.a) dekh ke chehra,
Kitna haseen hai mera Hussain (a.s)
Tum meri jaan ho, sadqe yeh maa ho,
Tum pe husn bhi fida Hussain (a.s)
Ban ke aaya hai mera noor-e-nazar tu,
Is liye aankhon mein hain khushi ke aansu
Jis sey mehka hai mera ghr, mera gulshann,
Teen Shaban mili mujh ko woh khushbu
Farsh pe aa ke maine kiya hai,
Intezaar bas tera Hussain (a.s)
Aa ja taaron se teri nazar utaarun,
Chaand ko aaj tere husn pe vaarun
Paas jab aaye to seene se laga kar,
Pyar se tujh ko Husaina main pukarun
Maine Khuda se kuch nahi maanga,
Jab se mujh ko tu mila Hussain (a.s)
Aur bhar jaayega roanq se mera ghar,
Jab chalega tu meri ungli pakad kar
Bhai ke saath mere paas tum aana,
Jab pukarungi main Shabbir (a.s) aur Shabbar (a.s)
Mujh ko mile hain chaand se bete,
Ek Hasan (a.s) doosra Hussain (a.s)
Dekh Jibreel (a.s) tera jhoola jhulaaye,
Aur Rizwan tere naaz uthaye
Ambiya hon ya malak hon ae mere dil,
Sab tere saath zameen par chale aaye
Arsh pe unka dil nahi lagta,
Ishq tujh se ho gaya Hussain (a.s)
Tu mere Baba Muhammad (s.a.w) ki jhalak hai,
Aayaton ki tere chehre pe damak hai
Hain haseen abr ke jaise tere abru,
Teri aankhon mein Ali (a.s) jaisi chamak hai
Noor-e-mujassam, fakhr-e-do aalam,
Tu Khuda ka mojza Hussain (a.s)
Mas hua jab woh tere jhoole se aakar,
Tere sadqe mein hi Fitras ko mile par
Mujh se darwaze pe aa aa ke farishte,
Maangte hain tera sadqa ae mere dilbar
Sab ko main tera baant dun sadqa,
Ek baar muskura Hussain (a.s)
Aaj Zeeshan o Raza jis ki khushi hai,
Dilbar-e-Zahra (s.a) hai Hussain ibn Ali (a.s) hai
Teen Shaban badi Eid hai phir bhi,
Sab azaadaron ki aankhon mein nami hai
Kyun na ho aansu aane pe tere,
Roye the khud Mustafa (s.a.w) Hussain (a.s)