Kazim Pay Intahaye Aseri Guzar Lyrics - Syed Zill e Raza Zaidi

25 Rajab Shahadat Hazrat imam Musa Kazim (a.s) poetry by Syed Zill e Raza Zaidi. Noha Kazim Pay Intahaye Aseri Guzar Lyrics in Urdu text with image.
25 Rajab Shahadat Hazrat imam Musa Kazim (a.s) poetry by Syed Zill e Raza Zaidi. Noha Kazim Pay Intahaye Aseri Guzar Lyrics in Urdu text with image.

25 rajab, noha lyrics in urdu, Shahadat imam musa kazim, Shahadat poetry, kazim pay intahaye aseri guzar lyrics, syed zill e raza zaidi



Lyrics

Kazim Peyy Intahae Aseri Guzar Gai
Zindan Main Jawani-o-Piri Guzar Gai.

Kitna Ghareeb Ho Gaia Jafar Ka Ladla.
Zehar-e-Jafa Sey Mara Gaia Wa Musibata.
Aa Kar Ye Oss Ki Lash Pey Sajjad Ne Kaha.

Sadmey Sey Hain Nidhal Ali Our Syeda.
Gham Sey Hai Ghair Haal Hasan Our Hussain Ka.
Keyhtey Hain Ro Key Sarey Aseeran-e-Karbala.

Zahra Jinna Sey Lash Pey Roney Ko Aa Gaen.
Lashay Ko Dekha Or Ye Noha Suna Gaen.
Iss Key Badan Ka Gausht Tu Zanjeerein Kha Gaen.

Ye Keyh Key Iss Ki Lash Pey Rotay Hain Mustafa.
Hathkariyaan Tauq-o-Beriyaan Hotin Nhi Juda.
Mar Ker Bi Iss Ka Sara Badan Qaid Main Raha.

Kaisay Biyaan Karon Sukhan-e-Dilkharash Ko.
Pul Par Rakha Gaia Hai Tan-e-Pash Pash Ko.
Koi Nahi Uthata Hai Qaidi Ki Lash Ko.

Saqlain Taziyat Hain Ye Jumlay Imam Sey.
Majlis Main Hashar Barpa Hai Mere Kalam Sey.
Aawaz Aik Bachi Ki Aati Hai Sham Sey.

Poet: Allama Syed Zille Saqlain Zaidi
Noha khuwan: Zill e Raza Zaidi
Noha Volume: Zill e Raza Zaidi 2019-20
Composition: Zill e Raza Zaidi

Post a Comment

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.