Ana Buturabi Lyrics - Mir Hasan Mir

Mir Hasan Mir New Manqabat 2025 on Birth Anniversary of Hazrat Ali (13 Rajab) Ana Buturabi Lyrics. Also read the 13 Rajab Wiladat poetry. Poet Mir Tak
Mir Hasan Mir New Manqabat 2025 on Birth Anniversary of Hazrat Ali (13 Rajab) Ana Buturabi Lyrics. Also read the 13 Rajab Wiladat poetry. Poet Mir Takallum Mir.

ana Buturabi Lyrics, ana Buturabi, 13 rajab poetry, 13 rajab, mir hasan mir, mir jawad mir, mir qasim mir, 13 rajab shayari




Kia Khak Wo Darain Gain Lehad Key Hisaab Sy
Mansub Hain Jo Khak-E-Dar E Buturab Sey

Roz E Azal Se Hai Bas Ye Aqeeda
Tasbeeh Meri Yehi Hai Wazifa
Mushkil Kusha Mera Mola Ali Hai
Jis Ke Sabab Sab Ki Mushkil Taali Hai
Hai Yehi Tou Meri Kamiyabi
Ana Buturabi

Main Sharab E Wila Ka Sharabi
Ana Buturabi

Mere Hathon Main Nehj E Balagah
Roz Sunta Hoon Khutba Ali Ka
Dil Ke Mimber Pe Bethe Hain Haider
Hain Mere Sath Salman O Buzar
Mera Mushkil Kusha Haider
Mera Hajat Rawan Haider
Mera Uqda Kusha Haider
Mere Dil Ki Sada Haider
Main Azal Se Ali Ka Sahabi

Meri Manzil Faqat Kuw E Haider
Malikan Meri Banu E Haider
Mera Chehra Sada Soo E Haider
Meri Mitti Main Khushboo E Haider
Izzat Ul Allah Ali Haider
Hujjat Ul Allah Ali Haider
Ayat Ul Allah Ali Haider
Qudrat Ul Allah Ali Haider
Sari Duniya Faqat Hai Turabi

Kis Ne Kaha Aqeede Chupane Ka Roz Hai
Khul Kar Munafiqon Ko Jalane Ka Roz Hai
Array Tera (13) Rajab Ko Shaikh Chupey Phir Rahey Hain Yun
Ke Apna Asli Baap Batane Ka Roz Hai
Hai Khushi Se Jo Chehra Gulabi

Hai Karam Hum Pe Rab E Ali Ka
Zikr E Haider Jo Wirse Main Paya
Ye Buzurgo Ki Mehnat Ka Phal Hai
Aj Mehfuz Jo Apna Kal Hai
Hai Humari Wila Haider
Hai Humari Dua Haider
Hai Humari Wafa Haider
Mir Sab Dein Sada Haider
Aasl Main Hai Yehi Kamiyabi

Main Muqalid Rah E Ambiya Ka
Main Hoon Shahkar Dast E Khuda Ka
Misl E Adam Isi Se Bana Hoon
Main Gubar E Rah E Murtaza Hoon
Mera Qibla Ali Haq Hai
Mera Kaba Ali Haq Hai
Mera Mola Ali Haq Hai
Mera Nara Ali Haq Hai
Meri Mitti Main Kyun Ho Kharabi

Main Tabiyat Main Noori Na Naari
Meri Fitrat Main Hai Khaak Sari
Aag Hai Aab Aur Na Hawa Hai
Mera Teeno Se Kya Wasta Hai
Mera Qoul O Qasam Haider
Mera Abr E Karam Haider
Mera Loh O Kalam Haider
Mera Jah O Hasham Haider
Atishi Na Hawai Na Aabi

Jo Haider E Karar Hai
Wo Kul Ka Madadgar Hai
Un Se Humein Bi Pyaar Hai
Bol Naara E Ali Ya Ali

Mujh Ko Duniya Ka Koi Nhi Dar
Khul Ke Karta Hoon Main Zikr E Haider
Rab E Haider Ko Karta Hoon Sajda
Hoon Musalman Salman Jaisa
Main Nusairi Na Supr E Kalabi

Main Ali Ke He Dar Per Raho Ga
Main Yahan Se Na Hargiz Utho Ga
Taik Hoon Unke Dar Se Lagaye
Jis Ko Milna Hai Khud Chal Ke Aaye
Mere Dil Ki Taraf Haider
Meri Jan Ka Hadaf Haider
Mera Shah E Najaf Haider
Mera Burj E Sharaf Haider
Mere Hise Main Hai Ye Nawabi

Ain Ul Allah Uzn Ul Allah
Noor Ul Ullah Wajh Ul Allah
Ya Ali Ali Ali
Aise Hote Hain Ali Ke Nokar
Waqt Per Waqt Ki Raftar Badal Dete Hain
Fitrat E Khanjar O Talwar Badal Dete Hain
Daar Per Lehja E Guftar Badal Dete Hain
Zair E Khanjar Bi Sada Dete Hain Haider Haider
Aise Hote Hain Ali Ke Nokar
Kyun Na Bole Ali Ka Sahabi

Main Takallum Bi Hoon Haideri Bi
Main Namazi Bi Aur Matami Bi
Kham Jabin Baab E Haider Pe Ki Hai
Lab Per Fuzto Be Rab E Ali Hai
Kamrani Meri Haider
Zindagani Meri Haider
Jab E Dani Meri Haider
Haq Bayani Meri Haider
Dast E Rab Tak Meri Dastiyabi

Poet: Mir Takallum Mir

Post a Comment

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.