Yeh Mah e Muharram Hai | Ali Shanawar Ali Jee Noha Lyrics in Urdu

Noha Lyrics "Yeh Mah E Muharram Hai" By Nadeem Sarwar, Ali Jee, Ali Shanawar, POET Rehan Azmi, Muharram New Nohay Lyrics in Urdu Text with images SMS
nadeem sarwar noha, ali Shanawar, ali shanawar noha, ali jee, ali jee noha, noha lyrics, noha lyrics in urdu, nadeem Sarwar, new noha, karbala, shia poetry in urdu, Muharram dp, muharram shayari, urdu poetry islamic shia


Arz-e-Karbala Arz-e-Nainawa.
Ye Mah-e-Muharram Hai Ye Ayyam-e-Azza Hai.
Matam Ye Muhammad Kay Nawasay Ka Bapa Hai.

Iss Mah Main Looti Gayi Zahra Ki Kamai.
Talwar Muhammad Kay Nawasay Pe Chalai.
Iss Mah Main Jibreel Say Noha Ye Suna Hai.

Iss Mah-e-Muharram Nay Qayamat Ye Dikhai.
Iss Chand Nay Sughra Ko Khabar Ja Kay Sunai.
Veeran Madina Hai Basi Karb-o-Bala Hai.

Iss Mah Main Sadaat Nay Din Kaisay Guzarey.
Masoomo Ko Pani Na Mila Nayhar Kinaray.
Kya Zulm Muhammad Kay Gharanay Nay Saha Hai.


Jub Chand Muharram Ka Nazzar Ata Hai Hum Ko.
Sajta Hai Azakhana Tu Yaad Aata Hai Hum Ko.
Iss Chand Main Khoon Aal-e-Muhammad Ka Baha Hai.

Ashoor Ka Din Bhool Na Payee Ga Zamana.
Loota Gaya Oss Roz Muhammad Ka Gharana.
Oss Roz Say Dunya Main Bichi Farsh-e-Azza Hai.

Kya Hoslay Maon Kay They Kya Shair They Bachay.
Woh Maqsad-e-Zahra Thi Ye Haider Kay Iraday.
Inn Maon Say Bachoon Say Bani Khak-e-Shifa Hai.

Woh Aoun-o-Muhammad Ali Akbar Ali Asghar.
Woh Qasim-e-Noshah Woh Abbas Dilawar.
Maqtal Inhi Shehzadon Kay Zakhmo Say Saja Hai.


Hoon "SARWAR-o-REHAN" "SHANAWAR" Kayh "ALI JEE".
Hai Nokari Wirsay Main Hussain Ibn-e-Ali Ki.
Aawaz-o-Qalam Dono Issi Dar Ki Atta Hai.

Yeh Mah E Muharram Hai Noha

Poet: Rehan Azmi
Noha Khuwan: Ali Shanawar and Ali Jee
Noha Volume: Nadeem Sarwar 2008-09

Post a Comment