Maula Ghadeer Ka | Kamzi Brothers Manqabat Lyrics in Urdu

Kazmi Brothers 110 "Maula Ghadeer Ka" Manqabat Lyrics in Urdu Text with Images, Manqabat On Hazrat Imam Ali Shayari, Poetry SMS, New Manqabat Writeups
Mola ghadeer ka, maula ghadeer ka, kazmi brothers manqabat, kazmi brothers manqabat lyrics, noha lyrics, noha lyrics in urdu, manqabat Lyrics, manqabat Lyrics in urdu, haiderali1414

 
Kaisay Asar Na Khon Main Hoga Ghadeer Ka.
Dil Main Hamarey Basta Hai Maula Ghadeer Ka.

Deen-e-Khuda Ko Ishq-e-Ali Naam Mil Gaya.
Kitna Hasen Tar Hai Khulasa Ghadeer Ka.

Pathar Hain Aasman Kay Qabzey Main Our Bi.
Inkar Bas Yeh Soch Kay Karna Ghadeer Ka.

Mufti Ko Qaid Kar Kay Ossi Ki Dokan Main.
Díl Chàhtà Hài Màr Dóon Talà Ghàdeér Kà.

Woh May Pila Kay Jis Main Nabowat Ki Bo Miley.
Jis Kay Nashay Main Husan-e-Imamat Ki Kho Miley.


Aadam Ko Jis Say Khoyi Hoi Aabro Miley.
Main Bi Piyon Tu Mujh Ko Khuda Robaro Miley.
Jís Kà Nàshà Nijat Kà Sàmàn Hó Gàyà.
Salman Pay Kay Fakhar-e-Suleman Ho Gaya.

Utra Na Oss Kay  Dil Say Khumar e Wila Kabhi.
Saqi Nay Jis Ko Jaam Pilaya Ghadeer Ka.

Meesum Nay Daar Par Kaha Subhan Ya Ali.
Wallah Nasha Hai Kitna Hi Aala Ghadeer Ka.


Sab Beshumar Aane Lagin Gay Shumar Main.
Mehfil Main Dekho Chair Kay Qissa Ghadeer Ka.

Kaisay Chubhay Na Chashm-e-Munafiq Main Sochiye.
Yeh Sare Matami Hain Qabeela Ghadeer Ka.


Mehshar Ki "JAUN" Fikar Hai Kya Tum Ho Matami.
Sayene Pay Tum Nay Khaincha Hai Naqsha Ghadeer Ka.

Maula Ghadeer Ka Manqabat

Poet:           Madad Ali Jaun
Manqabat Khohwan:  Kazmi Brothers
Manqabat Volume:   Kazmi Brothers 2022-23
Composition:   Syed Amar Ali Rab

Post a Comment