Mah e Muharram Ka Chand | Mir Hassan Mir Noha Lyrics

Mir Hassan Mir New Noha Lyrics "Mah e Muharram Ka Chand" 2024 New Nohay Lyrics in Urdu & Roman Urdu For Whatsapp Status, Nadeem Sarwar Noha's Upcoming
Mah e muharram ka chand, muharram ka chand, muharram 2024, muharram poetry, new noha lyrics, mir hassan mir, nadeem sarwar, ali jee, ali shanawar, farhan ali waris, shia poetry in urdu


Sughra (s) Ko Muharram Ka Jab Chand Nazzar Aayaa.
Yaad-e-Sheh-e-Wala Nay Dil Our Bhi Tarpaya.

Chand Ko Dekh Kay Sughra Nay Kaha Haye Hussain.
Aa Gaya Mah-e-Muharram Par Nahi Aaye Hussain.

Yaad Pardais Mein Aati Hai Lehad Amma Ki.
Dil Ka Ahwaal Sunanayy Ko Kahan Jayee Hussain (a).

Aap Aaye Na Khabar Aayi Na Akbar Aaye.
Kesy Iss Haal Mein Sughra Say Jiya Jaye Hussain.


Jab Say Yeh Chand Muharram Ka Nazar Aaya Hai.
Amma Roti Hein Tujhay Aye Meray Maa Jaye Hussain.

Koi Tasveer To Zahra (s) Ki Rahi Parday Main.
Yeh Tu Acha Howa Sughra Ko Nahi Laye Hussain.

Naam Par Shah Nay Akbar Kay Kharedi Hai Zameen.
Kesy Jageer Tujhay Bhai Ki Dikhlaye Hussain.

Eid Bhi Soag Kay Aalam Mein Guzari Oss Nay.
Haye Akbar Kabhi Kayhti Thi Kabhi Haye Hussain.

Mustaqil Shah Ki Aankhon Say They Aanso Jari.
Khat-e-Sughra Ko Mukamal Nahi Parh Paye Hussain.

Aik Ek Beti Say Rukhsat Hoye Khaimay Mein Magar.
Haye Afsoos Kayh Sughra Say Na Mil Paye Hussain.


Likh Kay Noha Yeh "TAKALLUM" Nay Dua Mangi Hai.
Har Azadar Ko Ashor Pe Bulwaye Hussain.

Noha Mah E Muharram 

Noha Khuwan: Mir Hasan Mir
Noha Volume: Mir Hasan Mir 2022-23
Composition: Raza Shah

Post a Comment