Janab e Hazrat e Abbas Ko Bulaya Karo | Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics

Muharram Poetry in Urdu Muharram DP Shayari, Muharram Poetry in Urdu Text With Images & Whatsapp Status, New Noha Lyrics in Urdu Muharram Nohay 2024
hazrat abbas, abbas alamdar, ghazi abbas, wafadar, noha lyrics in urdu


Maula Abbas, Maula Abbas.
Maula Abbas, Maula Abbas.

Maula Hain Hamaray Dil Unhein Pukarey.
Bin Bazuon Kay Jo Taqderein Likhtay Hain.
Baab Ul Hawaij Fazal Kay Baba.


Bali Sakina Kay Hain Chacha.
Unko Bulao Sab Gham Sunao.
Hain Woh Sakhi Badshah.

Diya Jala Kay Sakina Kay Naam Ka Ghar Mein.
Janab-e-Hazrat-e-Abbas Ko Bulaya Karo.

Kahan Kahan Woh Hamari Madad Nahi Kartay.
Qasam Sakina Ki Abbas Rad Nahi Kartay.
Baghaiir Manghay Wo Sab Kuch Atta Karen Gay Tumhain.
Sakina Bibi Ka Farsh-e-Azza Bichaya Karo.

Bohat Qareeb Abbas Kay Yah Shehzadi.
Jo Dekhni Ho Muhabbat Chacha Bhateeji Ki.
Tum Apne Ghar Mein Sajatay Hoye Azakhana.
Alam Pay Choti Si Ik Mashk Bhi Sajaya Karo.

Misal-e-Karb-o-Bala Hai Karam Nawazi Ki.
Yah Kamsini Mein Bhi Mushkil Kusha Hai Ghazi Ki.
Chacha Say Kayh Kay Ghamo Say Tumhein Chura Lein Gi.
Sakina Bibi Ko Sab Hal-e-Dil Sunaya Karo.

Aye Kash Dekh Lein Ghazi Hamaray Ghar Ki Taraf.
Atta Ho 8 Muharram Ko Hazzarri Ka Sharf.
Chacha Kay Sath Bhateeji Bhi Mere Ghar Aaye.
Dua Yah Mang Kay Ghazi Ki Nazar Khaya Karo.

Tum Iss Kay Naam Ki Mannat Utha Kay Mango Dua.
Hussain Sadqay Mein Iss Kay Karein Gay Beti Atta.
Tumhare Ghar Mein Jab Aa Jaye Chand Si Beti.
Kaneez-e-Bali Sakina Ossay Banaya Karo.

Jisay Namazon Mein Manga Sakoon Sakoon Kayh Kar.
Sakon Kaisay Miley Woh Nazar Na Aaye Agar.
Issay Bola Kay Yah Aksar Hussain Kayhte They.
Sakina Hum Say Kabhi Door Tum Na Jaya Karo.


Salam Oss Pay Jo Girti Sanbhalti Rehti Thi.
Woh Jis Kay Galon Ki Rangat Badalti Rehti Thi.
Tamachay Kha Kay Woh Zalim Say Ro Kay Kayhti Rahi.
Main Ik Yateem Hoon Mujh Par Na Hath Uthaya Karo.

Yah Zaireen Say "Zeeshan" Our "Raza" Kayh Do.
Kissi Ka Sham Agar Karbala Say Jana Ho.
Lehad Pay Bibi Ki Ik Mashk Sath Le Ja Kar.
Yah Pani Bhaija Hai Abbas Ne Bataya Karo.

Janab E Hazrat e Abbas

Poet: Zeeshan Abidi
Noha Khuwan: Syed Raza Abbas Zaidi
Noha Volum: Syed Raza Abbas Zaidi 2023-24
Composition: Syed Raza Abbas Zaidi

Post a Comment