Ghadeer Yaad Rahay | Mir Hassan Mir New Manqabat 2024 Lyrics in Urdu

Read the Lyrics of Mir Hassan Mir New Eid E Ghadeer Manqabat 2024 "Ghadeer Yaad Rahay غدیر یاد رہے میر حسن میر, 18 Zilhaj 2024 Poetry, Shayari Mubarak
ghadeer yaad rahay, ghadeer yaad, ghadeer, eid e Ghadeer Mubarak, eid ghadeer poetry, eid e ghadeer poetry, mir hassan mir, ali jee, ali shanawar, farhan ali waris, mir hassan mir, new manqabat, 18 zilhaj, 18 dhul haj, 18 zilhaj shayari


Aaj Khair-e-Kaseer Ka Din Hai.
Ye Janab-e-Ameer Ka Din Hai.
Aaj Har Ba Zameer Ka Din Hai.
Ye :ANEES:-o-:DABEER: Ka Din Hai.

Ameer Bas Hain Janab-e-Ameer Yaad Rahay.

Suno Suno Ye Sada-e-Faqeer Yaad Rahay.
Ghadeer Yaad Rahay, Ghadeer Yaad Rahay.

Safar Mein Ruk Kay Nabi Ne Ye Hajiyon Say Kaha.
Hamarey Baad Khuda Ka Wazeer Yaad Rahay.


Ye Eid-e-Fitar Ka Eid Al Adha Ka Kayhna Hai.
Maza Tu Tab Hai Kayh Eid-e-Kabeer Yaad Rahay.

Issi Liye Tu Hai Khair Al-Amal Azano Mein.
Jahan Ko Maqsad-e-Rab-e-Qadeer Yaad Rahay.

Aaye Hain Rind Bandh Kay Aehram Saqiya.
Baithay Hoye Hain Lay Kay Tera Naam Saqiya.
Thayhri Hoi Hai Gardish-e-Ayyam Saqiya.
Bas Ho Chuki Namaz Jo Tha Jaam Saqiya.
Hum Sab Shareef Rind Hain Bait Al Sharaf Say La.
Milti Nahi Haram Mein Tu Ja Kar Najaf Say La.

Jo Pe Thi Khum Mein Sharab-e-Ghadeer Yaad Rahay.


Mila Jula Kay Ye Mafhoom Al Ghadeer Ka Hai.
Mere Jawano Ko Qanbar Ka Peer Yaad Rahay.

Ye Haal Dekh Kay Haris Ka Kayhte Thayy Salman.
Aye Munkiran e Ali Ye Shareer Yaad Rahay.

Bithaon Hafiz-e-Quran Ko Sar Aankhon Par.
Ossay Sahi Jo Nabi Ka Wazeer Yaad Rahay.

Kaha Hai Aa Kay Ye Jibreel Ne :TAKALLUM: Say.
Zara Mizaj-e-:ANEES:-o-:DABEER: Yaad Rahay.

Ghadeer Yaad Rahay

Poet: Mir Takallum Mir
Manqabat Khuwan: Mir Hasan Mir
Manqabat Volume: Mir Hasan Mir 2023-24
Composition: Raza Shah

Post a Comment