Ghadeer Ke Din | Poet Rehan Azmi Lyrics in Urdu

Read the Manqabat Lyrics of Dr Rehan Azmi "Ghadeer Ke Din" 18 Zilhaj New Manqabat 2024, Ali Shanawar, Ali Jee, Nadeem Sarwar, Mir Hassan Mir Poetry
Ghadeer ke din, eid e ghadeer, Manqabat Lyrics in Urdu, shia poetry in urdu, haiderali1414, 18 zilhaj, 18 Zilhaj poetry, 18 Zilhaj 2024



Duā Rāsool Ki Pori Hoi Ghādeer Ke Din Rehān Azmi.
Nābi Ki Apni Nābowāt Bāchi Ghādeer Ke Din.

Nāzār Nāzār Mein Hāi Khum e Ghādeer Kā Mānzār.
Zābāān Zābāān Pe Hāi Māulā Ali Ghādeer Ke Din.

Munāfiqeen Ke Chehrāy Utār Gāye Aisāy.
Keh Jāisāy Arsh Se Bijli Giri Ghādeer Ke Din.

Tāmām Umār Tābāsum Nā Aisā Fārmāyā.
Lāb-e-Rāsool Pe Jo Thi Hānsi Ghādeer Ke Din.


Khudā Ne Sehrā Mein Kāusār Ke Jāām Chālkāye.
Kissi Ke Lāb Pe Nā Thi Tāshnāgi Ghādeer Ke Din.

Ali Ke Sār Pe Wilāyāt Kā Tāj Aisā Sājā.
Sāmājh Mein Aāyi Abutālābi Ghādeer Ke Din.

Ali Ko Hāthoon Pe Apne Uthā Ke Bolāy Rāsool.
Bātā Rāhā Hoon Māin Shān-e-Ali Ghādeer Ke Din.

Hāzār Eidein Croron Shāb-e-Bārāt Nisār.
Milā Zāmāne Ko Māulā Sākhi Ghādeer Ke Din.

Khudā Kā Shukār Keh Tākmeel Deen Aāj Howā.
Khitāb Kārti Thi Aāyāt Yehi Ghādeer Ke Din.

Ali Ne Dekhā Jo Lehjā Niyā Hāi Aāyāt Kā.
Pārhi Ali Ne Bhi Nād-e-Ali Ghādeer Ke Din.


Sājā Jo Dekhā Sāhābā Ne Mimber-e-Pālāān.
Dikhāi Detey They Hāirāān Sābhi Ghādeer Ke Din.

Koi Mānāye Shāb-o-Roz Eid Mujh Ko Kiyā.
Hāi Meri Eid "REHAN AZMI" Ghādeer Ke Din.

Ghadeer Ke Din Manqabat

Poet: Rehān Azmi

Post a Comment