Ghadeer 2024 Poet Hassnain Akbar | Manqabat Lyrics in Urdu

Ghadeer 2024 Manqabat Lyrics "Poetry Hasnain Akbar" Do Bazuon ki sanad se hai intesab e Ghadeer, Zamana dhondta hi reh gya jawab e Ghadeer, Poetry SMS
Ghadeer Mubarak, ghadeer Manqabat, shia poetry in urdu, 18 zilhaj poetry, Hassnain akbar poetry, hasnain akbar Poetry



Hāi Zulāsherā Ki Dāwāt Se Inqilāb e Ghādeer.
Likhi Hoi Abu Tālib Ki Hāi Kitāb-e-Ghādeer.

Ali Kā Hāth Milā Our Nā Mustāfā Ki Sānd.
Zāmānā Dhondtā Hi Reh Gāyā Jāwāb-e-Ghādeer.

Do Bhāiyon Ke Sāfār Se Hāi Ayā-e-Qāusāin.
Do Bāzuon Ki Sānd Se Hāi Intesāb e Ghādeer.

Idhār Rāsool Ki Māsjid Udhār Khudā Kā Mākāān.
Kiyā Hāi Phir Bhi Muhāmmād Ne Intehāb-e-Ghādeer.

Hāmārā Nāshā Khird Hāi Khumār Dānāi.
Pilā Gāye Hāin Muhāmmād Humein Shārāb-e-Ghādeer.

Hāzāron Loāg They Ik Sāth Dhop Chāon Mein.
Hāzār Rāng Se Ubhrā Thā Aāftāb-e-Ghādeer.

Abu Turāb Ko Kehte They Loāg Jāb Bākhin.
Abbā Abbā Ki Sādā Deti Thi Turāb e Ghādeer.

Mānādi Kārti Hāi Ab Tāk Dārār Kābā Ki.
Hāi Bāāb-e-Bāit Elāhi Ke Sāth Bāāb-e-Ghādeer.


Hāmārā Rāb Chālā Aātā Hāi Bādilon Pe Sāwār.
Ali Ki Tāig Se Ho Gā Hār Ik Hisāb-e-Ghādeer.

Thā Bāgbān e Shāriyāt Kā Hukām So Jābrān.
Gālāy Lāgānā Pārā Kānton Ko Ghulāb e Ghādeer.

Khudā Nā Sotā Hāi "AKBAR" Nā Khuwāb Dekhtā Hāi.
Ossi Ne Jāgti Aānkhon Se Dekhā Khuwāb-e-Ghādeer.

Ghadeer Manqabat

Poet: Hāsnāin Akbār

Post a Comment