Farsh Matam Ka Bichao Ke Muharram Ayaa | Noha Lyrics

Noha Lyrics in Urdu "Farsh Matam Ka Bichao Ke Muharram Aya" Shahadat Ka Maheena Noha Writeups, Islamic Month, Karbala Whatsapp Status, Moharram DPs HD
matam, farsh e aza, farsh aza, majlis, majalis, zakir waseem abbas baloch, muharram, noha lyrics in urdu

Farsh Matam Ka Bichaoo Kay Muharram Aya
Gham Sheh-e-Deen Ka Manao Kay Muharram Aaya.

Ali Akbar Ki Judai Nay Hai Mara Iss Ko.
Ab Na Sughra Ko Rulao Kay Muharram Aaya.


Baa-Khuda Ajar-e-Risalat Hai Hussaini Matam.
Farz Tum Apna Nibhao Kay Muharram Aaya.

Yaad Kar Kar Kay Har Ik Tashna Dahan Ko Logo.
Pani Piyason Ko Pilao Kay Muharram Aaya.

Bikhrey Thay Dasht Main Quran Kay Parey Kesay.
Yad Main Aansu Bahao Kay Muharram Aaya.

Kis Tarha Ghar Hai Yah Sadaat Ka Veeran Huwa.
Apnay Bachon Ko Batao Kay Muharram Aaya.

Lashay Pamaal Huway Khaimay Sabhi Raakh Huway.
Pursa Zahra Ko Do Aao Kay Muharram Aaya.

Waqt-e-Zibha Bhi Kissi Nay Nahi Paya Pani.
Noha "Faan" Sunao Kay Muharram Aaya.

Muharram Ayaa Noha

Poet: "Farman Zaki"
Noha Khuwan: "Mir Joan Muhammad"
Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019

Post a Comment