Chand Muharram Ka | Noha Lyrics in Urdu

Chand Muharram Ka Noha Lyrics in Urdu Text with images, Poetry by Noor Ali Noor, Nohakhawan Syed Wajih Hassan Zaidi, 7 Muharram Nohay 2024, Karbala
chand Muharram Ka, muharram poetry, karbala poetry, karbala shayari, noha lyrics in urdu, muharram ka chand, 1 muharram 2024, shia Poetry in Urdu


Sughra Pay Qayamat Thi Barpa Deikha Jab Chand Muharram Ka.
Yaad Aa Gaya Akbar Ka Chehra Deikha Jab Chand Muharram Ka.

Kulsoom, Rubab Our Zainab Nay Ghabra Kar Apne Hathoon Se.
Baloon Ko Apne Dhanp Liya Deikha Jab Chand Muharram Ka.

Akbar Ka Jiggar Asghar Ka Ghala Baba Ka Baddan Zainab Ki Rida.
Sajjad Ko Kya Kya Yaad Aaya Deikha Jab Chand Muharram Ka.


Roney Lagay Sare Ahl-e-Haram Sajjad Ki Aankhon Mein Oss Dam.
Zindaan Ka Andhera Phail Gaya Deikha Jab Chand Muharram Ka.

Kurtay Ko Laga Kar Seene Se Ek Aah Bhari Our Bano Nay.
Ek Khali Jholay Ko Deikha, Deikha Jab Chand Muharram Ka.

Shabbir Ka Lashaw Yaad Aya Akbar (a) Ka Kaleja Yaad Aaya.
Gash Kha Kay Girein Umm-e-Laila Deikha Jab Chand Muharram Ka.

Yaad Aa Gaye Bachoon Kay Lashay Our Sani-e-Zahra Kay Aagay.
Bazar Ka Manzar Ghom Gaya Deikha Jab Chand Muharram Ka.


Aye Rab-e-Jahan Kar Sab Pay Karam De Hum Ko Faqat Shabeer Ka Gham.
Ki "NOOR ALI" Nay Bas Yeh Dua Deikha Jab Chand Muharram Ka.

Noha Chand Muharram Ka

Poet: Noor Ali Noor
Noha Khuwan: Syed Wajhi Hasan Zaidi
Noha Volum: Syed Wajhi Hasan Zaidi 2023-24

Post a Comment