Ay Chand Muharram Ke | Noha Lyrics in Urdu

1st Muharram Noha Lyrics/Writeups Ay Chand Muharram Ke, Moon of First Islamic Month, Karbala Walay, Bibi Sughra, Ashura Poetry, Quotes and Dp for Shia
ay chand muharram, ae chand muharram, muharram poetry, 1 muharram, muharram ka chand, shia poetry, karbala poetry, hussaini poetry, moharram shayari, moharram poetry, muharram quotes in urdu

Ay Chand Muharram Kay Ana Naa Madinay Main      
Phir Hashar Bapa Hoga Zahra Kay Dafiney Main.

Yaad Aayegi Sughra Ko Akbar Kabhi Kubra Ki.
Shabir Ki Asghar Ki Our Bali Sakina Ki.
Ho Jayegi Sughra Ko Mushkil Bari Jeeney Main.


Laila Ko Khiyalon Main Akbar Nazar Aaein Gaye.
Dewar Main Dar Dar Main Dilbar Nazar Aaein Gaye.
Aaeingay Magar Aansu Aankhon Kay Naginey Main.

Zainab Tujhy Deikhy Gi Our Roye Gi Bhai Ko.
Yaad Aayee gi Maqtal Ki Bhai Ki Fidaiii Ko.
Maray Gaye Sarwar They Tere Hi Mahiney Main.

Aye Chand Tera Chehra Sughra Na Kahin Deikhyy.
Mar Jaye Gi Woh Dukhiya Ja Chup Ja Khin Ja Kay.
Mar Jaye Gi Ik Behna Yadon Kay Safiney Main.

Sharminda Naw Ho Jayee Madar Kahin Ghain Ki.
Aye Chand Nikalna Kayh Ik Maa Hai Bohat Roti.
Yaad Aata Ossay Ghazi Roshan Tere Rehne Main.

Pani Main Tera Chehra Jis Dam Nazar Aata Hai.
Sajjad Ki Aankhon Main Khon-e-Jigar Aata Hai.
Takleef Bohat Hoti  Hai Pani Ko Bhi Peenay Main.

Rotey Hain "Asad", "Adil" Hum Ratun Ko Uthh Uthh Kar.
Hum Jab Bhi Tujhy Deikhyin Yaad Aatay Humein Akbar.
Ik Dard Sa Uthta Hai Na Jany Kyun Seene Main.

Ay Chand Muharram Noha

Poet: "Asad Azmi"
NohaKhuwan: "Ali Adil"
Noha Volume: "Ali Adil 2019-20"
Composition: "Asad Ali Haideri"

Post a Comment