Ae Chand Muharram Ke Tu Badli Main Chala Ja | Lyrics in Urdu

Ae Chand Muharram Ke Tu Badli Main Chala Jaa Tujhy Deikh Ke Mar Jaye Naa Beemar Hai Sughra, Muharram Ka chand Noha Lyrics in Urdu, Poetry Shayari SMS
Ae chand muharram, muharram, muharram ka chand, moon of first islamic month, noha lyrics in urdu

Ay Chand Muharram Kay Tu Badli Main Chala Jaa
Tujhe Dekh Kay Mar Jaye Na Bemar Hai Sughra.

Ghar Zahra Ka Lutne Ki Khabar Tu Nay Sunai.
Tujhe Dekh Kay Roti Hai Muharram Main Khudai.


14 Soo Baras Beetay Sab Kartay Hain Shikwa.

Milne Kay Liye Bhai Ko Be-Chain Bari Hai.
Kab Say Ali Akbar Ki Yah Rahoon Main Khari Hai.
Bichari Hai Yah Muddat Say Isse Tu Na Nazar Aa.

Veran Gharon Main Na Isse Nayend Hai Aati.
Akbar Ki Judai Hai Isse Khon Rulati.
Qadmo Kay Nishan Dhanp Kay Bethi Hai Sar-e-Raah.

Gin Gin Kay Jo Sughra Nay Yah Din Hain Guzare.
Zinda Hai Tu Akbar Kay Wadon Kay Sahare.
Din Raat Tarapti Hai Isse Our Na Tarpa.

Bhaiya Ki Judai Main Pareshan Hai Rehti.
Har Roz Yah Nana Ko Ro Ro Kay Hai Kayhti.
Akbar Nay Mila Nana Main Mar Jaon Gi Tanha.

Qasad Ko Diya Khat Main Yah Paigham Likha Kay.
Ik Bar Tu Mil Ja Mujhe Sayene Say Laga Le.
Pathrati Hoi Nazrein Kab Dekhein Gi Chehra.

Wadah Jo Kiya Behan Ko Sayene Say Laga Kay.
Main Shadi Karon Ga Tere Paas Hi Aa Kay.
Main 7 Muharram Ko Lotoon Gaw Na Ghabra.

Rone Nahi Detay Mujhe Raton Ko Musalmaan.
Bemari Say Be-Haal Hoon Kuch Rooz Ki Mehmaan.
Har Simt Say Hai Mujh Ko Ab Maut Nay Ghaira.


Behno Ka Tu Bhaiyon Say Rishta Hi Ajab Hai.
Tum Bhol Gaye Mujh Ko Yah Kaisa Ghazab Hai.
Iss Aas Pay Zinda Hoon Dekhon Tera Sayhra.

Sughra Kay Nasebon Main Rona Hi Likha Hai.
"Sardar" Masooma Ko Mili Kaisi Saza Hai.
Khat Aaya Na Akbar Ka Roti Rahi Sughra.

Ae Chand Muharram Ke Noha

Poet: "Yousuf Sardar"
Noha Khuwan: "Anjuman Shabab Ul Momineen"

Post a Comment