Abbas Se Kehna Hai | Ali Jee Noha Lyrics

Ali Jee New Noha "Abbas Se Kehna Hai" Muharram Poetry by Nadeem Sarwar, Noha Writeups in Urdu, عباس سے کہنا ہے, Muharram Dp And Quotes in Hindi Status
Abbas se kehna hai, ali jee, ali shanawar, noha lyrics in urdu, muharram noha, mir hassan mir, nadeem sarwar


Aye Ishq-e-Hussaini Mujhay Ijaz Dikha Day.
Tu Meri Aqeedat Ka Mujhay Aisa Sila Day.
Ik Bar Mujhay Khuwab Main Ghazi Say Mila Day.

Jo Baat Hai Iss Dil Main Woh Sarkar Say Kayhna Hai.


Abbas Say Kayhna Hai.
Abbas Say Kayhna Hai.
Alamdar Say Kayhna Hai.
Abbas Say Kayhna Hai.

Ghazi Alamdar-e-Wafa Ghazi Alamdar.
Ghazi Alamdar-e-Wafa Ghazi Alamdar.

Abbas Say Kayhna Hai Kay Tum Shah-e-Wafa Ho.
Tum Sheh Kay Alamdar Sakina Kay Chacha Ho.
Our Sare Muhibbon Kay Liye Dast-e-Atta Ho.
Abbas Ghulami Ki Sand Aap Say Lena Hai.

Jo Shan-e-Alamdar Wohi Shan-e-Alam Hai.
Dono Hi Hamarey Hain Yah Malik Ka Karam Hai.
Maula Yah Alam Aap Ka Hum Sab Ka Bharam Hai.
Hum Ko Tu Alam Kay Hi Sada Saye Main Rehna Hai.

Tum Baab-e-Hawaij Ho Waseela Ho Hamara.
Aata Hai Muradein Liye Chokhat Pay Zamana.
Haan Dar Say Tumharey Koi Khali Nahi Jata.
ALLAH Sey Mangha Hai Magar Tum Ney Dhilana Hai.


Gham Koi Bhi Jab Dil Ko Hamarey Hai Satata.
Jab Koi Kara Waqt Kabhi Hum Pay Hai Aata.
Abbas Alam Aap Ka Himmat Hai Barhta.
Dil Totay Tu Toota Howa Dil Tum Ko Bulata Hai.

Saein Mere Sarkar Mere Murshid-o-Maula.
Iss Baar Muharràm Main Ho Mera Bi Bhulawa.
Likhwa Do Mera Naam Bhi Zawwaron Main Aaqa.
Ro Ro Kay Tumhein Noha Sakina Ka Sunana Hai.

Jo Jo Bhi Sitam Bad-e-Alamdar Howa Hai.
Sadaat Nay Pardais Main Jo Zulm Saha Hai.
Har Moor Pay Zainab Nay Yahi Ro Kay Kaha Hai.
Iss Dil Pay Jo Guzri Hai Kissi Say Nahi Kayhna Hai.

Abbas Say Kayhna Hai Kay Ghar Aao Na Maula.
Tum Apni Ziyarat Humein Karwao Na Maula.
Mere Ghar Aao Na Maula, Mere Ghar Aao Na Maula.
Ek Tohfa Tumhara Hai Wo Lay Jao Naw Maula (a).
Pani Say Bhari Mashk-e-Sakina Tumhein Dayna Hai.

Abbas Mere Rab Ka Anmool Waseela Hai.
Mashoor Zamane Main Saqa-e-Sakina Hai.
Har Totay Hoye Dil Ka Abbas Waseela Hai.

Yah Baab-e-Hawaij Hai, Har Gham Ka Madawa Hai.
Har Lab Ka Wazeefa Hai, Har Dil Main Dharkta Hai.
Girton Ko Uthata Hai, Dobo Tu Bachata Hai.
Taqdeer Jagata Hai, Qismat Ko Sajata Hai.
Abbas Say Kayhna Hai.

Hasnain Ka Sadqa Do, Abbas Say Kayhna Hai.
Jholi Ko Meri Bhar Do, Abbas Say Kayhna Hai.
Múshkil Meri Hàl Kàr Dó, Abbas Say Kehna Hai.
Parcham Ki Hawa Day Do, Abbas Say Kayhna Hai.


Rozay Pay Bola Bhejo.
Zawwari Atta Kar Do.
Maula Yah Karam Kar Do.
Maula Yah Karam Kar Do.

Abbas Se Kehna Hai

Poet: Jawad Jafri, Nadeem Sarwar
Noha Khuwan: Ali Jee
Noha Volume: Nadeem Sarwar 2023-24
Composition: Nadeem Sarwar, Ali Shanawar, Ali Jee

Post a Comment